Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta

Posted by Murtuza Abbas on March 29, 2014 | Views: 1308 | Ratings: 532


Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai Kya Haal Yeh Ummat Ne, Zehra Ka Banaaya Hai

1. Khatoon Koi Gham Se Yun Chur Nahi Dekhi, Aisi Koi Duniya Mai, Mastoor Nahi Dekhi, Athhaara Baras Mai Hii, Lagti Jo Zaeefa Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

2. Darbaar Mai Zaalim Ne, Kee Aisi Pazeeraai, Kis Tarha Se Tu Bibi, Phir Laut Ke Ghar Aayi, Baalon Ki Safedi Ne, Sab Haal Sunaaya Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

3. Tu Roti Rahi Ghar Mai, Haider Se Bhi Chhup Chhup Ke, Ismat Ki Tarha Dukh Bhi, Parde Mai Rahe Tere, Kuch Dard Tere Bibi, Bas Jaanti Fizza Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

4. Do Aise Janaaze Hai, Taarikh Mai Jo Utthe, Bas Ghar Ke Hii Logo Ne, Dono Ko Diye Kaandhe, Ik Fatema Zahra Hai, Ik Baali Sakina Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

5. Marham Tere Zakhmon Ka, Bibi Na Milaa Ab Tak, Aulaade Umayya Ki, Baaqi Hai Jafaa Ab Tak, Rone Pe Bhi Pehra Tha, Turbat Pe Bhi Pehra Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

6. Mismaar Tera Rauza, Ummat Ne Kiya Jab Se, Baba Tera Rehta Hai, Turbat Pe Teri Tab Se, Kab Ghumbad-e-Khizra Mai, Baba Tera Rehta Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

7. Mehdi Se Koi Puchhe, Kya Uss Pe Guzarti Hai, Awaaz Baqayya Se, Jab Rone Ki Aati Hai, Aankhon Se Lahu Rokar, Woh Bhi Yehi Kehta Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai

8. Tasweer Haqiqat Ki, Khwaabon Ko Banaadijiye, Ai Bibi Taqallum Ko, Taabir Dikhaadijiye, Matam Teri Turbat Pe, Hote Huwe Dekha Hai Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai