Posted by Murtuza Abbas on May 01, 2014 | Views: 902 | Ratings: 492
SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS)
AAYE JO KHABRE FATEMA PE SAYAD-E-ANAAM RUKSAAR RAK-KE KABR PE ROKAR KIYA KALAAM, SEHRA ME DIL KE TUKDOON KI BASTI BASAWUNGA, AMMA MADINA LAUT KE-MAIN AA-NA PAAWUNGA, KAAMPA FALAK LARAZ-NE LAGI QABR-E-SAYYEDA, AYI JANAAB-E-FATEMA, KI QABR SE SADAA
(Jaao mere laal - 4) Tum pe har qadam rahe Dua meri, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
JA RAHE HO TUM-JO KEHKE DEENE HAQ BACHAWUNGA Amma aap ki kasam, me khoon me nahawunga (3) Ab ho jo bhi haal, tum ho payemaal, Tum pe har qadam rahe dua meri, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
BACHPANE MEI JO KIYA THA WADA BABAJAAN SE Waqt ab wo agaya kafan tu sar se band-le (3) Dekh mere laal, dee(n) ka hai sawaal, Kamiyabiyan hai tere saath hi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
CHAHIYE KHUDA-KE DEEN KO AGHAR AMAA, Do ridaay-e-Zainab-e-hazee(n) ka sayebaa(n) (3) Jawo ab shiqab ibn-e-buturaab, Mei tumhare saath babajaan bhi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
DE-RAHA HAI DEEN-E-KIBRIYA TUMHE SALAAM Almadad hussain almadad shah-e-huda (3) Bay watan hussain, mere dil ke cheyn, Hamsafar tumhare saath maa huwi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalal
SHAAN-E-BA-WAFA KE HONGE JIS GADI KALAM, Rowenge alam ke saaye mei tere haram (3) Rowengi wafaa aur karbala, Rowengi faraat aur tashnagi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
AKBAR-E-JAWAAN JIGAR PE KHAYENGA SINA, Maa kahengi mera chaand khogaya kaha (3) Uspe nohakhwaan, honge meri jaan, Mei bi aur hassan bi aur rasool bi, Aur saaya-e-khuda-e-zul jalaal
YE SADAA MAZAR-E-SAYYEDA SE "MAZHAR ABIDI" Sunke rodiyey hussain mustafa ki aal bhi (3) Jaawo mere laal, jaawo mere laal, Tumpe har qadam rahe dua meri, aur saaya-e-khuda-e-zuljalaal