Posted by Mustafa Abbas on May 09, 2014 | Views: 1218 | Ratings: 525
9th of Rajab 1435 AH - birth anniversary of Hazrat Ali Asghar(as) ibn-e-Imam Hussain(as) in 60AH.
Hazrat Ali Asghar(as) was one of the four sons of Imam Hussain(as) (according to most reports) or one of six sons of Imam Hussain(as) (according to ibn-e-shahr Ashoob). His mother was Hazrat Rubab bint-e-Umra-ul-Qais who was the chief of the tribe of Kinda.
On this occasion of happiness, I do not wish to relate the sad events of Karbala where Hazrat Ali Asghar(as) held a very central position, therefore, I would restrict myself to congratulating Imam-e-Zamana(as), Prophet Mohammad(sawaw), his Ahl-e-Bait(as), all momineen and mominaat on this happy day.
Poetry about Hazrat Ali Asghar(as)
Khula yeh raaz aey Asghar teri kahani se
Ke kamsini bhi kam nahi kisi jawani se
Zamana aaj tak us ka jawab de na saka
Sawal tu ne kia tha jo be zubani se
Haan lashkar-e-yazeed ke borrhon ko dosto!
Maazi ki aik shakl dikhayi Hussain nay
Kar ke buland hath pe us doar ka Ali
Sab ko Ghadeer yad dilayi Hussain nay
Ye keh ke bosay shah-e-deen nay ba wafa ke liye
Khila hay phool Madinay may Karbala ke liye
Jahan may aan ke who bin khilay chala bhi gaya
Zameen taras gayi Asghar ke naqsh-e-pa ke liye
Ik bar parrh ke dekh le tareekh-e-Karbala
Cheh maah ke sagheer ne kya kaam kar diya
Jitna diya hay khoon Muhammad ke deen ko
Asghar ne maa ka doodh bhi utna nahi piya
Har jang may qanoon hay hathyar se larrna
Khanjar se kabhi teer se talwar se larrna
Aata hi nahi logon ko afkaar se larrna
Samjhaoon ga dunya ko may kirdar se larrna
Is nasl se har nasl ko imdad milay gi
Maoon ko meray jhoolay se aulad milay gi
Manqabat
Barray barron se barra hay Hussain ka Asghar
Hussainiat ki baqa hay Hussain ka Asghar
Gharoor karti thi jis Hurmala pe foaj e Yazeed
Usi pe ran may hansa hay Hussain ka Asghar
Jo maangna hay to jhoolay ki simt aa jao
Ameer e Karb o bala hay Hussain ka Asghar
Kabhi saroor ki ankhon se parrh kitab e atash
Waraq waraq pe likha hay Hussain ka Asghar
Qadam utha nahi paya magar Yazeed teray
Qadam ukharr gaya hay Hussain ka Asghar
Bilal ab meri qamat ko kon napay ga
Meri jabeen pe likha hay Hussain ka Asghar
Article taken from Ziaraat.Com
Qur'anic verses and hadiths of Ahl al-Bayt (peace be upon them) and sayings in Arabic, Persian and English.
https://eitaa.com/noorunalanoor
https://youtube.com/@mustafaabbas4668?si=EnSIkaIECMiOmarE