Thank you for rating it ....
KhanwadeAbuTalib.com
FATHEMA ZEHRA YA ZEHRA Noha

Posted by Murtuza Abbas on March 29, 2014 | Views: 9343 | Ratings: 1235


FATHEMA ZEHRA (5) YA ZEHRA (6)

Ay meri bibi (2) Tere dar pe isteghasa hai, Tera mamnoo meri shehzaadi ye jahan sara hai

Tu hame hifz or amaan de-de, Apni chadar ka sa-ebaan dede, Teri kudrath me kya nahin bibi, Tu jise chahe do jahaan dede

Ay meri bibi (2) Aansu-o ne duwa mangi hai, Teri tasbee hi padke dil ne tujhe pukaara hai

Tera darbar O sakhi dar hai, Har farishta jahan-ka dagar hai, Tere makrooz asmaan waale Tera makrooz har sikandar hai

Ay meri bibi (2) Tu sakhi hai tere bache bhi, Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai

Farshe majlis pe aur musale pa, Har jawan keh raha hai ro-rokar Ham rahe na rahe magar bibi, Ta qayamat rahe game sarwar

Ay meri bibi (2) Tere bacho ka gham mana-te hai, Apni awlaad se kahi badke gham ye pyara hai

Karz makrooz ka adaa karde, Muflisoon ka naseeb wa karde, Jinki goudi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa karde

Ay meri bibi (2) Bas tuhi muraad dethi hai, Teri chawkat dare ilahi ka isti-araa hai

Farz momin se gham juda karde, Bas ghame karbala ata karde Be khataa kayd me hai jo momin, Moujize se unhe rihaa karde

Ay meri bibi (2) Gham koyi hussainiyo ko na de, Jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai

Un shahedo ka ye mukadar hai, Sayiban inka teri chadar hai Unke sino pe ay meri bibi daghe matam nishaane haider hai

Ay meri bibi (2) khuld me shaheed jab jaye, Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai

Majlise gham me ashk barsane, Aasake ya nahi khuda jaane, Kya bharosa hamari sanso ka, Ab kaha ham kaha aza khane Ay meri bibi (2)

Ashke gham teri amaanath hai, Teri awlaad ke hi gham-ne hame sawaara hai Tujko umat ne yu sataya hai, Marghe mohsin pe bi rulaya hai Tujko baba ke baad ummat ne, Haye darbaar me bulaya hai Ay meri bibi (2)

Kitne sadme utha hai tune, Jeete-ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai Ay meri bibi (2) tere darpe sar jukaate hai, Har hussaini ka tere tuk-do pe hi guzaara hai