Posted by Murtuza Abbas on March 28, 2014 | Views: 11466 | Ratings: 487
HAYE BAZAARE SHAAM, MERA BEKAS IMAAM (2) EK YEHI BATH SAJAAD KO KHA-GAYI (2) SAR KHULE HAAYE ZAINAB KAHAN AAGAYI HAYE BAZAARE SHAAM, MERA BEKAS IMAAM (2)
Tuaq ke bouj se, sar nahi tha jhuka (2) Wajh sharmindagi ek yahi dard tha (3) Majmaye ashkiyaan mei phuphi aagayi.
Tap raha tha badan aur zanjeer bhi (2) Be rida ma phuphi aur hamsheer bhi (3) Soch te-the na kyu kar kaza aagayi.
Bibiyon ke gale reesmah se bandhe (2) Gard aalood balo se chehre chupe (3) Shaam tak is tarha binte Zehra gayi
Waarison ke janazon pe roye nahin (2) Asr-e-aashur ke baad soye nahin (3) Neend ruksat huwi aankh thakra gayi
Ekto zindaan uspa andhera bahoth (2) Aur faryaad karne pe pehra bahoth (3) Maut bhi is andhere se ghabhra gayi
So gayi Qaid-khane me who gamzadah (2) Jiska shaam-e-gariban me daaman jalaa (3) Qaid-khane ki usko zameen khagayi.
Kaise dafnaye jakde hai zanjeer me (2) Dard likhi hai kya sirf takdeer me (3) Dafan karne Sakina ko maa aagayi
Dard REHAN Sajaad ke mei likhun (2) Ha mahe jaan-se mere tapak te hay khun (3) Ruhe girta se is gham se tharraagayi.