Thank you for rating it ....
KhanwadeAbuTalib.com
SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS):CHALAA ME WADA NIBHAANE SALAAM MAA KE MAZAAR Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar

Posted by Murtuza Abbas on May 01, 2014 | Views: 830 | Ratings: 468


NAWHA – SAFAR-E-IMAM-HUSSAIN (AS)

CHALAA ME WADA NIBHAANE SALAAM MAA KE MAZAAR Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2)

Mai tera din bachaunga, Ay mere nana, Mai apna khoon bahawunga, Ay mere nana, Husain jaata hai marne, Salaam ma ke mazaar

Meri sharike safar ban-ke, Saath chal amaa, Safar pe jaata hu kapde, Mere badal amaa Libaaz-e-khuld sajaa de, Badan pe phir ek baar

Dua karoo koyi sar be-rida na ho amaa, Namaze zoh-ke shahadat, Kazaa na ho amaa, Na aye mere chaman pe, Sitam ki gardo gubar

Diye jalane ko nana, Tumhare roze par, Zuroor ayegi Sugra, Har ek sham-o-sahar, Khuda kare rahe roshan, Sada tumhara mazaar

Tumhare jaisa hai nana, ye mera laal Akber, Dua karoo na lage isko, Asmaan ki nazar, Lute na door watan se, Hamare dil ka karar

Tamaam phool se bache hai, Aur garm hawaa, Hamare khoon ki pyaasi hai, Foje Zulmo jafaa Safar me koi shajar bhi, Nahi hai saaya adaa

Ha-ek phool to aisa hai, Jo khila bi nahi, Na paye pani tho kar sakta, Wo gila bhi nahi, Wo jisko dek-ke aati, Hai dood ki mehkar

Meri sakina kaha aur, Rasan ke bandh kaha, Zamin garm pe chalna, Use pasand kaha, Kadam wo phool se nazook, Wo raaste purkhar

Challa me waada nibhaane Sallam ma ke mazaa Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2)